GAREEBI...Ek Abhishap


Gareebi na zaat dekh kar aati hai aur na hi dharm dekh kar ....
Ye na waqt dekh kar aati hai aur na hi umr dekh kar...
Ye na hasiyat dekh kar aati hai aur na hi wasiyat dekh kar

aur..

Ye na bade-buddhe dekh kar aati hai aur na hi bacche dekh kar...


Inn masoom chehre par sirf masoomiyat dikhti hai lekin,

Ye bacche iss kacchi umra me khilone khelne ki jagah badnasibiyo aur majburiyo ke khel khelte najar aate hai...

Kyu nai inn roti aankho ke aansoo rukte hain aur kyu nai udaas chehro pe muskurahat aati hain...?

Wajah hai to sirf bhukh, pyaas, bechaini, majburiyan, aur bebas halaat...




Kaash.....Gareebi me bhi haalat aur majburiyo ko samjhne ki taaqat hoti aur  Kaash.... Iss abhishap ko jarr se khatam karne ki himmat hum sab me hoti to ye kabhi bhi kisi ke zindagi ki sukoon ko nai chinn pati...
                                                                             -Aashish  
                                                                           

SHARE

Aashish

  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
    Blogger Comment
    Facebook Comment

2 comments: