DOST AB THAKNE LAGE HAIN...





Kisi ka pet nikal aaya hai
Kisi ke baal pakne lage hai
Sab par bhaari zimmedari hai
Sab ko choti moti koi bimari hai
Sayad DOST ab thakne lage hai...

Baarish me bheeg kar kisi ka intezaar karte the
Din bhar jo bhaga-dauda karte the
Wo ab ruk-ruk kar chalne lage hai
Sayad DOST ab thakne lage hai...

Kahi kisi ko loan ki fikr hai
kahi health test ka zikr hai
Fursat ki sab ko kami hai
Ankho me ajeeb si nami hai
Bade mehnat se dost kamaye the
Ab meri zeb me dost kam parne lage hai
Par ye haqeeqat hai k DOST ab thakne lage hai...

Kisi ko kisi ki fikr nai hai
Kaise ho? Kaha ho? koi zikr nai hai
Doori ho, majburi ho, mit jaye to mit jaye
Ab to feelings ki chadro par silwate parne lage hai

Haa! ye haqeeqat hai k DOST ab thakne lage hai....

AAINE K SAMNE






Aaine k samne khade hokar khud se mafi mang Li maine. .
Sabse jyada khud ka dil dukhaya hai dusro ko khush karne me... 

AYE KHUDA






Ae khuda tu mujhe sawar de 
Jo maine apne hi hatho gawaye hai
Unn khas lamho ko sawar de 
Jo apne hi hatho mitaye hai...

Kaun sa rang hai tere dillagi ka
Jo maine dil se lagaye hai...
Aye khuda, mere berang zindagi sawar de
Jo maine apne hatho mitaye hai...

Udta hua behisaab rang yaado ka 
Jo apne hatho, hawao me udaye hai
Aye khuda tu mujhe Inn Yado se ubar de
Jo apne daaman se lagaye hai...

Ae khuda tu mujhe sawar de 
Jo apne hi hatho gawaye hai...

                                                                - Aashish