UMMEED...



Jitni khubsurat zindagi hoti hai , utne hi bebas haalat Unn khubsurat zindagi par najar garaye hote hai...
Mere ye lafz Unn logo ki kahaani kahti hai jo aaj bhi apne halàat ko sahi karne ki ladaai me unki kosis dhaal ban kar khadi hai...

Hum jante hai k sabhi ko sahi waqt par sab kuch haasil nai hota lekin unki ummeed us aas k diye ko jalaye rakhti hai jo kabhi na kabhi unke hunar ko raushan karne ki chamta rakhti hai..

Kahte hai k khali jeb aur bhukha pet insan ko sab kuch sikha deta hai...

yahi kahaani Unn majbur aur lachaar insan k bare me batati hai jo majbur jarur hote hai lekin haare nahi hote..
unki kosis aur halàat se ladai hamesa rahti hai...

Haa, ye bàat aur hai k kabhi kabhi unki ummeed  dum tor ti nazar jarur aati hai lekin marti nahi...

Kyu ki zindagi jeene ka maksad bhi hame 'UMMEED' se hi milti hai...


                                                                                                                                           -Aashish