Gareebi na zaat dekh kar aati hai aur na hi dharm dekh kar ....
Ye na waqt dekh kar aati hai aur na hi umr dekh kar...
Ye na hasiyat dekh kar aati hai aur na hi wasiyat dekh kar
aur..
Ye na bade-buddhe dekh kar aati hai aur na hi bacche dekh kar...
Inn masoom chehre par sirf masoomiyat dikhti hai lekin,
Ye bacche iss kacchi umra me khilone khelne ki jagah badnasibiyo aur majburiyo ke khel khelte najar aate hai...
Kyu nai inn roti aankho ke aansoo rukte hain aur kyu nai udaas chehro pe muskurahat aati hain...?
Wajah hai to sirf bhukh, pyaas, bechaini, majburiyan, aur bebas halaat...
Kaash.....Gareebi me bhi haalat aur majburiyo ko samjhne ki taaqat hoti aur Kaash.... Iss abhishap ko jarr se khatam karne ki himmat hum sab me hoti to ye kabhi bhi kisi ke zindagi ki sukoon ko nai chinn pati...
-Aashish